Main khayal hoon kisi aur ka mujhay sochta koi aur hai
Saray aaina mera aks hai passay aina koi aur hai
Main kisi kay dast-e- talab main hoon tau kisi kay harf-e- dua mein hoon
Mian naseeb hoon kisi aur ka mujhay mangta koi aur hai
Ajjab aitabar-o- bay aitabari kay darmian hai zindagi
Main kareeb hoon kisi aur k mujhay janta koi aur hai
Teri roshni meray khado khaal say mukhtalif to nhain magar
Tu kareb aa tujhay dhekh loon tu wohi hai yea koi aur hai
Woh jo mile rasaty mein to poochna nahin bas dhekhna inhein ghaur se
Jinhein rasaty mian khabar hui k yeh rasta koi aur hai
Tujhay dushmanoon ki khabar na thi mujhay dostoon ka pata nahin
Tere daastan koi aur the mera vaakya koi aur hai