FRENZ 4 EVER

Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Join-today-1

Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Guest Thu Sep 18, 2008 6:37 pm

    Ek Kahani Hai...Aaj Aap Ko sunani...

    Zindagi Meri Kabhi Khilkhilane Lagi Thi,
    Khushiyan Mere Bhi Paas Aane Lagi Thi,

    Madhosh Hue Jaa Raha Tha Kuch Aisa Vo Sama,
    Haan Mujhe Bhi Zindagi Raas Aane Lagi Thi,

    Khizaon Ke Khatm Hone Ka Mil Raha Tha Andesha,
    Muskurahaton Ki Bahar Hoton Pe Khilne Lagi Thi,

    Savere Ka Suraj Kshitij Se Nikal Kar Umeedon Ki Kirane Faila Raha Tha,
    Chandni Ki Chaw Me Hasi Ki Mehefilen Sajne Lagi Thi,

    Mit Raha Tha Tanhaiyon Ka Sannata,
    Aab Fir Se Zindagi Koi Haseen Geet Gungunane Lagi Thi,

    Darr Darr Ke Karne Lage Khushiyon Par Aitbar,
    Haan Mujhe Bhi Zindagi Raas Aane Lagi Thi...

    Bhadh Hi Raha Tha Zindagi Ka Karwan Ahiste Ahiste,
    Iss Safar Ko Bhi Koi Manzil Mil Hi Rahi Thi,

    Fir Ek Roz Yun Hua,
    Tassawur Ka Bharam Humara Tuta,

    Har Khushi Ko Zamane Ki Nazar Lag Gayi,
    Aankhon Se Kuch Yun Neend Uud Gayi...

    Chane Lage Fir Wahi Gham Ke Kale Badal,
    Pata Na Chala Baharon Ko Kab Khizayen Kha Gayi,

    Mehefilon Mein Reh Gaye Aab Sirf Tute Hue Paimane Aur Hum,
    Chandni Bhi Ruth Kar Badalon Ke Darmiyan Chip Gayi,

    Zindagi Ne Ek Gadi Mein Bas Nata Tod Liya,
    Ye Bhi Na Bataya Ke Humse Kya Khata Ho Gayi,

    Chand Ko Zamin Par Hi Paa Lene Ki Koshish Ki,
    Shayad Dil Se Yahi Ek Khata Ho Gayi,

    Fariyad Jo Ki Rab Se Maine..To Kaha usne,
    “Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Online
    Offline Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Offline

    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by SourabhBasak Fri Sep 19, 2008 10:04 am

    Bahut umda posting hai :)
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Guest Sun Sep 28, 2008 4:48 pm

    shukriya sonu... flowers
    Deewana_89
    Deewana_89
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Online
    Offline Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Offline

    Male

    Taurus Snake

    Posts : 130
    Job/hobbies : playing cricket
    KARMA : 0
    Reward : 0

    Mood : angry

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Deewana_89 Tue Oct 07, 2008 2:16 pm

    wahw ah baba bhbai .... Subhan Allah bahut pain fulll hai ....

    meri duaaon ka hua koi asar kyon nahi,
    meri aah se larzaa tera jigar kyon nahi,

    kya haal hai mera ,kya guzri hai mujh par,
    yeh sochkar tune li meri khabar kyon nahi,

    khud ko kiya qurbaan teri har khuwahish ke aage,
    meri chahat ka tujh par hua koi asar kyon nahi,

    naahaq tu rooth-ta,besabab mai manaati,
    mere pyaar ki tune ki kabhi qadr kyon nahi,

    ki dillagi tune,na thi yeh dil ki lagi,
    is baat ki mujhe hui khabar kyon nahi,

    tere laut aane ki koi aas nahi baaki,
    thamte phir yeh ashq ke abr kyon nahi.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Guest Thu Oct 09, 2008 3:30 pm

    Deewana_89 wrote:wahw ah baba bhbai .... Subhan Allah bahut pain fulll hai ....

    beautiful ....tere laut aane ki koi aas nahi baaki...thamte phir yeh ashq ke abr kyon nahi...very touchy...

    Dastaan-e-gham-e-dil sunai na gayi,
    Baat bigadi thi kuch aisi ki banai na gai,

    Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin,
    Kuch yaadein thi aisi ki bhulai na gayi,

    Dil par kuch na chala didaa-e-tar ka jaadu,
    Jo aag lagi thi dil mein vo bujhai na gayi,

    Kya uthayegi sabaa khaak meri us dar se,
    Ye qayaamat to khuda se bhi uthai na gayi...
    Deewana_89
    Deewana_89
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Online
    Offline Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Offline

    Male

    Taurus Snake

    Posts : 130
    Job/hobbies : playing cricket
    KARMA : 0
    Reward : 0

    Mood : angry

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Deewana_89 Fri Oct 10, 2008 6:39 pm

    wah wah .... Kya uthayegi sabaa khaak meri us dar se, Ye qayaamat to khuda se bhi uthai na gayi .... wah kiya baat kahi hai sirf 2 lines me ... zabardast .....

    Meri Nazar Mein Apni Nazar Baar Baar Rakh
    Ek Teer Dil, Jigar Kay Hamesha Hi Paar Rakh

    Daaman Mein Uskey Gul, Meri Rahon Mein Khaar Rakh
    Ek Haath Mein Sitaray Aur Ek May Ghubaar Rakh

    Dharkan Per Apni Kuch Bhi To, Tu Ekhtiyar Rakh
    Aye Beqraar Dil Too Zara To Qaraar Rakh

    Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
    "Peiwastah Rah Shajar Sey Ummeed-E-Bahar Rakh"

    Gham Sey Jo Hai Ta'lluq Usay Ustwaar Rakh
    Rakhna Hi Hai Agar Tou Dil-e-Sogwaar Rakh

    Sarchashma Terey Dil Mein Muhabbat Ka Hai Agar
    Sookhay Har Aik Hount Pey Aansoo Ki Dhaar Rakh

    Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
    Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

    Dil Mein Nahin Jo Ishq To Kaa'hey Ki Bandaagi
    Sajday Mein Apnay Sar Ko Agarchey Hazaar Rakh

    Kaaba Agar Nahin To Isay Butkada Bana
    Dil Mein Khuda Ki Yad Ya Tasveer-e-Yaar Rakh

    Hamlay Shadeed Hoon'gey Anaa Key Phir
    Qaayem Khudi Key Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

    Baba wrote:
    Deewana_89 wrote:wahw ah baba bhbai .... Subhan Allah bahut pain fulll hai ....

    meri duaaon ka hua koi asar kyon nahi,
    meri aah se larzaa tera jigar kyon nahi,

    kya haal hai mera ,kya guzri hai mujh par,
    yeh sochkar tune li meri khabar kyon nahi,

    khud ko kiya qurbaan teri har khuwahish ke aage,
    meri chahat ka tujh par hua koi asar kyon nahi,

    naahaq tu rooth-ta,besabab mai manaati,
    mere pyaar ki tune ki kabhi qadr kyon nahi,

    ki dillagi tune,na thi yeh dil ki lagi,
    is baat ki mujhe hui khabar kyon nahi,

    tere laut aane ki koi aas nahi baaki,
    thamte phir yeh ashq ke abr kyon nahi.

    beautiful ....tere laut aane ki koi aas nahi baaki...thamte phir yeh ashq ke abr kyon nahi...very touchy...

    Dastaan-e-gham-e-dil sunai na gayi,
    Baat bigadi thi kuch aisi ki banai na gai,

    Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin,
    Kuch yaadein thi aisi ki bhulai na gayi,

    Dil par kuch na chala didaa-e-tar ka jaadu,
    Jo aag lagi thi dil mein vo bujhai na gayi,

    Kya uthayegi sabaa khaak meri us dar se,
    Ye qayaamat to khuda se bhi uthai na gayi...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Guest Tue Oct 14, 2008 2:48 pm

    Deewana_89 wrote:wah wah .... Kya uthayegi sabaa khaak meri us dar se, Ye qayaamat to khuda se bhi uthai na gayi .... wah kiya baat kahi hai sirf 2 lines me ... zabardast .....

    Meri Nazar Mein Apni Nazar Baar Baar Rakh
    Ek Teer Dil, Jigar Kay Hamesha Hi Paar Rakh

    Daaman Mein Uskey Gul, Meri Rahon Mein Khaar Rakh
    Ek Haath Mein Sitaray Aur Ek May Ghubaar Rakh

    Dharkan Per Apni Kuch Bhi To, Tu Ekhtiyar Rakh
    Aye Beqraar Dil Too Zara To Qaraar Rakh

    Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
    "Peiwastah Rah Shajar Sey Ummeed-E-Bahar Rakh"

    Gham Sey Jo Hai Ta'lluq Usay Ustwaar Rakh
    Rakhna Hi Hai Agar Tou Dil-e-Sogwaar Rakh

    Sarchashma Terey Dil Mein Muhabbat Ka Hai Agar
    Sookhay Har Aik Hount Pey Aansoo Ki Dhaar Rakh

    Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
    Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

    Dil Mein Nahin Jo Ishq To Kaa'hey Ki Bandaagi
    Sajday Mein Apnay Sar Ko Agarchey Hazaar Rakh

    Kaaba Agar Nahin To Isay Butkada Bana
    Dil Mein Khuda Ki Yad Ya Tasveer-e-Yaar Rakh

    Hamlay Shadeed Hoon'gey Anaa Key Phir
    Qaayem Khudi Key Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

    Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath...Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh...very beautiful wordings....

    Sach baat maan leejiye chehre pe hi dhool hai,
    Ilzaam aaino pe lagana fizool hai,

    Terii navaazishen ho to kaanta bhi phool hai,
    Gham bhi mujhe qubool, Khushi bhi qubool hai,

    Uss paar ab to ko’i tera muntazir nahi,
    Kacche gharee pe tair kar jana fizool hai,

    Jab bhi mila hai zakhm ka tohfaa diya mujhe,
    Dushman zaroor hai vo magar baa-usool hai...

    Sponsored content

    Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi... Empty Re: Rab Ne Kaha...“Raj” Tujhe Kabi Ye Zindagi Raas Na Aayegi...

    Post by Sponsored content

      Current date/time is Fri Mar 29, 2024 10:28 am