FRENZ 4 EVER

Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha... Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha...

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha... Empty Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha...

    Post by Guest Fri Oct 24, 2008 12:52 am

    Maine gulshan ko baharon mein jalte dekha,
    Khakh mein har kali aur phool ko milte dekha,

    Main to samjha tha ke gham waqt se bhar jayega,
    Ye muqadar bhi kisi haal sanwar jaayega,
    Maine socha bhi naa tha gham ki koi had hi nahi,,
    Roz hi gham ko naya roop badalte dekha...

    Ek muddat si hui hai mujhe tanhai mein,
    Kho gaya jaane kahan aks bhi parchai mein,
    Aab to main hu, mera ghum hai,mere verane hai,
    Dahshat hi charo taraf raah main chalte dekha...

    Mud ke dekhoon to kayi mod nazar aate hai,
    Yaad ke phool khayalon mein bikhar jaate hain,
    Raat hi raat andheri hai, faqat yadain hai,
    Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha... Empty Re: Maine chand ko ghum ki ghataon mein machalte dekha...

    Post by Guest Fri Oct 24, 2008 1:04 am

    Sar jo mahafuz ho unke,to ridaa bhi maangein,
    Haath uthaane ki takat ho to dua bhi maangein,

    Abhi zakhmon ki numaaish kaa hai insaan ka vajuud,
    jism ko jism banaalen to qaabaa bhi maangein,

    ai ke tu tiragi-e-shab, ke hamari umeed,
    koi dahaliz ataa kar to diya bhi maangein,

    maut se bhi koi umeed nahi hai,
    ham jo zinda ho to marane ki dua bhi maangein...

      Current date/time is Sat Apr 27, 2024 9:13 am