Door se door talak ek bhi darakht na tha,
Tumhare ghar ka safar is qadar to sakht na tha,
Itane masaruf the ham jaane ki taiyari mein,
Khade the tum aur tumhein dekhne ka vaqt ka tha,
Main jis ki khoj mein khud kho gaya tha mele mein,
Kahi vo mera hi ehasaas to kambakht na tha,
Jo zulm sah ke bhi chup rah gaya na khaul utha,
Vo aur kuch ho magar aadami ka rakt na tha,
Unhi faqiron ne itihaas banaya hai yahan,
Jin pe itihaas ko likhne ke liye vaqt na tha,
Sharaab kar ke piya us ne zahar jivan bhar,
Hamare shahar mein 'Neeraj'-saa koi mast na tha...
Author:Gopaldas Neeraj