FRENZ 4 EVER

Kaha kho gae the jawab do Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Kaha kho gae the jawab do Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Kaha kho gae the jawab do

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Sat May 02, 2009 10:54 am

    Kai sal bad mile ho tum, kaha kho gae the jawab do?
    mere aasuo ko na pocho tum,mere aasuo ka hisab do!
    kisi roz tum mera hal e dil kisi reh guzar se hi pooch lo
    ye to mene tum se kaha nahi ki mere khato ka jawab do!
    yaha lazzat e ghum e ishq ka koi ahtraam na kar saka
    he kisi ko mout ki aarzu koi keh raha he sharaab do!
    me agar hu kato ki mustahik to ye tohfa mujh ko kabool he
    ye mera kaha he mutaalba ki mujhko mahakte gulab do!
    yahi shazado ki rasme he wo navaazte he khitab se
    me agar tumhari kaneez hu to mujhko bhi koi khitab do!
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Sat May 02, 2009 1:50 pm

    zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,
    ab koi haath milata hai to dar lagta hai,
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Wed May 06, 2009 11:42 am

    Aapki 2 liner bahut asardar hai uppal.

    Zakhmo se poora badan chalni hai mere dost,
    dard bhi pareshaan hai ki mein uthu kaha se.
    ashu_uppal wrote:zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,
    ab koi haath milata hai to dar lagta hai,
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Wed May 06, 2009 2:50 pm

    haaya wrote:
    Kai sal bad mile ho tum, kaha kho gae the jawab do?
    mere aasuo ko na pocho tum,mere aasuo ka hisab do!
    kisi roz tum mera hal e dil kisi reh guzar se hi pooch lo
    ye to mene tum se kaha nahi ki mere khato ka jawab do!
    yaha lazzat e ghum e ishq ka koi ahtraam na kar saka
    he kisi ko mout ki aarzu koi keh raha he sharaab do!
    me agar hu kato ki mustahik to ye tohfa mujh ko kabool he
    ye mera kaha he mutaalba ki mujhko mahakte gulab do!
    yahi shazado ki rasme he wo navaazte he khitab se
    me agar tumhari kaneez hu to mujhko bhi koi khitab do!


    superb...yahi shazado ki rasme he wo navaazte he khitab se...me agar tumhari kaneez hu to mujhko bhi koi khitab do...very deep thoughts.. Thums up keh raha hai aalam k haaya ko 1 karma navaz do Thums up ..keep postin...

    Koi tumse pooche kaun hoon main,
    Tum keh dena koi khaas nahi.

    Ek dost hai kaccha pakka sa,
    Ek jhooth hai aadha saccha sa.
    Jazbaat ko dhake ek parda bas,
    Ek bahana hai accha sa.

    Jeevan ka ek aisa saathi hai,
    Jo door naa ho ke pass nahin.
    Koi tumse pooche kaun hoon main,
    Tum keh dena koi khaas nahi.

    Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
    Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
    Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
    Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

    Zindgi ka ek aisa humsafar,
    Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
    Koi tumse pooche kaun hoon main,
    Tum keh dena koi khaas nahi.

    Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
    Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
    Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
    Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

    Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
    Par in aankho ko uski talaash nahi.
    Koi tumse pooche kaun hoon main,
    Tum keh dena koi khaas nahin.

    Dekh kar mujhe apne sabhi gam chhupa lete ho,
    Meri aahat pe he apni palkein sukha lete ho.
    Jis kandhe par gair bhi aa kar roya karte hai,
    Bana kar paraya tum usi par se sir utha lete ho.

    Tum kehte ho ki apno me he shamil hoon main,
    Par dil me kahin ab bhi mujhe pe vishvaas nahin.
    Koi tumse pooche kaun hoon main,
    Tum keh dena koi khaas nahi...
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Kaha kho gae the jawab do Online
    Offline Kaha kho gae the jawab do Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by SourabhBasak Wed May 06, 2009 4:32 pm

    Awesome yaar.... keep up the good work...... angel angel cheerz cheerz
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Wed May 06, 2009 7:49 pm

    thanks so much haya






    dard ka to zakhmo se kinara karle,
    dard ko bas to apni aagosh me bharle
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Thu May 07, 2009 10:47 am

    Thanks 100rab

    zindagi itne dard deti hai,
    dil mein phir bhi umeed rehti hai,
    dil kehta hai ki woh yaad nahi karte honge,
    per woh yaad karte honge umeed yeh kehti hai.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Thu May 07, 2009 8:21 pm

    dosti ki shaam me kabhi koi rukawat na aaye,
    mera dost ko kabhi dard ki aahat na aaye.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Fri May 08, 2009 5:16 pm

    Mohabbat ke jale ko koi dawa raas nahi aati,
    khushiya bhi mere paas nahi aati,
    yeh dekhkar logo ki aankh bhar jati,
    per us patthar dil ko mujhper taras nahi aati.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Guest Sat May 09, 2009 12:52 pm

    zindagi ko samajh pana hai mushkil,
    tanhai ka aanchal chod pana hai muhkil,
    le to lete hai dard sabhi se,
    dardo ko sehlana hai mushkil

    Sponsored content

    Kaha kho gae the jawab do Empty Re: Kaha kho gae the jawab do

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Fri Apr 19, 2024 1:11 pm