FRENZ 4 EVER

Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Sun Jul 26, 2009 11:50 pm

    so swt collection u hv bro
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Sun Jul 26, 2009 11:57 pm

    Tera dard tha teri yad thi me jahan raha me jahan gaya
    Mera din to yun hi guzar gaya yun hi shab hue me bikhar gaya
    Is abar ka mere yar se bara milta julta mizaz hai
    kabhi toot kar ye baras gaya kabhi be rukhi se guzar gaya
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Mon Jul 27, 2009 12:03 am

    ashu_uppal wrote:so swt collection u hv bro

    thanx ashu.... flowers
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Thu Aug 20, 2009 7:31 pm

    Dayar-e-Gair Mein Kaise Tujhe Bhula Dete,
    Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete,
    Tumhi Ne Sunaya Naa Humko Aapna Dukh Varna,
    Dua Wo Karte Ke Aasmaan Ko Bhi Hila Dete...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Thu Aug 20, 2009 7:33 pm

    Yaadon me guzri sirf unn raaton ki na poocho,
    Ke humne toh din mein bhi zakhm chaak jigar ke siye hai,
    Andhere me gum rehte the hum ashiyaane me apne,
    Kyunki aashqon se jalte mere armaano ke diye hai...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Fri Aug 21, 2009 4:49 pm

    Subhan-Allah baba, bahut umda postings hai. karma kabool farmaiyey.

    Iss dil ko toh bas teri yaad aati hai
    aur iss dil ko udaas kar jati hai
    Koi poochta hai tumse pyar kitna hai
    kuch nahin keh paate bas aankh bhar aati hai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Fri Aug 21, 2009 5:36 pm

    thanx a lods haaya... flowers
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Thu Sep 10, 2009 9:02 pm

    Dost dushman nazar nahi aate,
    Ab to patthar bhi ghar nahi aate,

    Sab ko rona mera mazaq lage,
    Ashq aankhon mein bhar nahi aate,

    Baap se pocho kya guzarti hai,
    Betiyon ke jo bar nahi aate,

    Mujh se pocha ye raat wehshat ki,
    Aaj kal aap ghar nahi aate,

    Dosti ho gaye sitaaron se,
    Khwaab ab raat bhar nahi aate...


    Last edited by Baba on Thu Sep 10, 2009 10:45 pm; edited 1 time in total
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Thu Sep 10, 2009 10:44 pm

    Tere bad kisi dost ki khawahish na rahi,
    Dil ki banjar zameen par koi barish na rahi,

    Kaha se laun wo qarar raat din,
    Tere hijar main hosalon ko kawish nahi rahi,

    Dushman aur dost sab juda ho gaye,
    Zindagi ko muje se koi sazish na rahi,

    Main to aur bi bikharna chahta tha,
    Lekin teri janib se azmaish na rahi,

    Khusbon ki manend khud hi numaya ho gaye,
    Jin phoolo ki kabi numayish na rahi,

    Dilon main dharkan aur ankhon ka roona na raha,
    Sach hai muhabaton main ab asayesh na rahi,

    Samandar bhi pyase lagne lage hai rifat,
    Dariyaon main pyaas bujane ki rawish na rahi...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Guest Sun Sep 13, 2009 10:45 pm

    Phir chand khila phir raat thami,
    Phir Dil ne kaha hai teri kami,

    Yaadon ke jhonkein Mehak gaye,
    Phir pagal Armaan Behak gaye,

    Guzare lamhon ki jab nikali baatein,
    Phir jaagi jaagi si guzari raatain,

    Phir thehar gai palkon pe Nami,
    Phir Dil ne kaha hai teri kami...

    Sponsored content

    Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai .... - Page 5 Empty Re: Zindagi ne "DARD" ke siva diya kya hai ....

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Fri Mar 29, 2024 12:59 pm