Patthar ke Khudaa Wahan bhi paaye,
Ham chaand se aaj laut aaye,
Deewarein to har taraf khadi hai,
kya ho gaya meharabaan saaye,
Jangal ki havayein aa rahi hai,
Kaagaz ka ye shehar uud na jaaye,
Laila ne naya janam liya hai,
Hai Qais koi jo dil lagaye,
Hai aaj zameen ka gusal-e-sahat,
Jis dil mein ho jitana khuun laaye,
Sehara sehara lahoo ke kheme,
Phir pyase lab-e-furaat aaye...
Ham chaand se aaj laut aaye,
Deewarein to har taraf khadi hai,
kya ho gaya meharabaan saaye,
Jangal ki havayein aa rahi hai,
Kaagaz ka ye shehar uud na jaaye,
Laila ne naya janam liya hai,
Hai Qais koi jo dil lagaye,
Hai aaj zameen ka gusal-e-sahat,
Jis dil mein ho jitana khuun laaye,
Sehara sehara lahoo ke kheme,
Phir pyase lab-e-furaat aaye...