Muhabbaton mein her ek lamha wisaal hoga, ye tai hua tha,
Bichhad ke bhi ek doosre ka khayal hoga ye tai hua tha,
Ye kya ke sansein ukhar gayi hain, safar ke aaghaz se hi yaro,
Koi bhi thak kar na raaste mein nidhaal hoga ye tai hua tha,
Wohi hua na, badalte mausam mein tum ne bhi hum ko bhula dia,
Koi bhi raat ho, na chahaton ka zawal hoga ye tai hua tha,
Juda hue hain to kya hua, ke yahi to dastoor-e-zindagi hai
Judaiyon mein na qorbaton ka malal hoga ye tai hua tha,
chalo ke ab saari kashtiyon ko jala dein gumnam sahilon par,
ke ab yahan sey na wapsi ka sawal hoga ye tai hua tha.........