jiss ko dil se laga rakkha hai
uss ne paagal bana k rakkha hai
apni dunya luta chuka hoo'n mai
sirf dil ko bacha k rakkha hai
teri yado'n ka kuchh shumar nahee'n
janey kya kya chhupa k rakkha hai
apne zakhmo'n mai aik muddat tak
dard mainey daba k rakkha hai
hijr k ba_wajood zulfo'n mai
phool tum ne saja k rakkha hai
kia kahoo'n teri yaad ne shabb bhar
hashr kaisa macha k rakkha hai
jaane TAUQEER phir nigaho'n mai
deep shab bharr jala k rakkha hai
uss ne paagal bana k rakkha hai
apni dunya luta chuka hoo'n mai
sirf dil ko bacha k rakkha hai
teri yado'n ka kuchh shumar nahee'n
janey kya kya chhupa k rakkha hai
apne zakhmo'n mai aik muddat tak
dard mainey daba k rakkha hai
hijr k ba_wajood zulfo'n mai
phool tum ne saja k rakkha hai
kia kahoo'n teri yaad ne shabb bhar
hashr kaisa macha k rakkha hai
jaane TAUQEER phir nigaho'n mai
deep shab bharr jala k rakkha hai