Kaun kehta hai tujhe mainey bhulaa rakha hai,
teri yaadon ko to kalejey se lagaa rakha hai
Lab pe aahein bhi nahi, aankh mein ansu bhi nahi,
dil ney har raaz muhabbat ka chhupa rakha hai
Tuune jo dil ke andhere mein jalaya tha kabhi,
vo diya aaj bhi seene mein jala rakha hai
Dekh ja aakey mahakatey huye zakhmon ki bahaar,
main ney ab tak terey gulashan ko saja rakha hai".