Magroor hi sahi mujhe achcha bahot laga
wo ajnabi to tha magar apna bahot laga
rootha hua tha hans to pada mujhko dekhkar
mujh ko to iss qadar bhi dilaasa bahot laga
sehra mein ji raha tha jo dariya-dili ke saath
dekha jo gaur se to wo pyaasa bahot laga
jab aaine pe meri saans jamm gai
mujhko khud apna aks bhi dundhla bahot laga.