FRENZ 4 EVER

Koi sahil pe pahuche bhi kaise Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Koi sahil pe pahuche bhi kaise Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Thu Jul 30, 2009 2:21 pm

    Barson ho gaye raakh bane huwe

    Par dhuwa uthta baar baar kyon hai




    Zamana ho gaya zakhm lage huwe


    yeh rista baar baar kyon hai




    Mohobat dard ban kar reh gaye


    Ashqon ka sailaab tutta baar baar kyon hai




    Jeetne ki koshish karte hai hamesha


    Par mukaddar harta baar baar kyon hai




    Koi sahil pe pahuche bhi kaise


    Yahan tufan guzarta baar baar kyon hai




    Har lamha badalti hai fitrat jinki


    Unse dil darta baar baar kyon hai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Sat Aug 01, 2009 8:29 pm

    mere ajnabi mere ashnaa

    tujhe harf harf me dua likhun




    agar na ban saka kabhi tera


    to hayat ko main fanaa likhun




    ye zindagi qadam qadam pe


    teri yaad se jawan rahe




    mere ajnabi mere ashnaa


    main tujhe kabhi na juda likhun
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Tue Aug 04, 2009 8:46 pm

    Zindagi bhar zindagi ki saza milti rahi,
    Lamha lamha wafaon ki jaza milti rahi.
    Ched kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
    Gham ke sholon ko yun hi hawa milti rahi
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Tue Aug 11, 2009 11:10 pm

    Teri aankho se peene de mujhe,
    sayad kal jaam aakhri naseeb na ho.
    Aaj sunane de voh askon ki dastaan,
    Khuda jaane kal paigaam aakhri naseeb na ho
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Wed Aug 26, 2009 3:15 pm

    baat na banaane ki aadat ho gayi hai
    unko sitam dhaane ki aadat ho gayi hai
    har baar ek vaadaa, aur phir ek bahaanaa
    vaadaa na nibhaane ki aadat ho gayi hai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Thu Sep 03, 2009 3:00 am

    Raat sunti rahi mein sunata raha
    dard ki daastan mein batata raha
    Log logon se chahat nibhate rahe
    ek Woh tha mera dil jalata raha
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Wed Sep 09, 2009 5:15 pm

    Wafa gar raas na aye wo wafa kyun kare
    Dua gar asmaan tak na jaye hum dua kyun kare

    Us deewane ke khwaab din raat dekhte hein hum
    Naseeb mein faqat khwaab hai milne ki chaah kyun kare
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Thu Sep 10, 2009 10:12 pm

    superb 1 i like this gazal a lot... keep posting .. a +K 2 U L-) .... rose gift
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Thu Sep 10, 2009 10:27 pm

    Subah ki peheli dua se aashana hota hua,
    Ek sannata hai maanuus-e-sada hota hua,

    Jaate mausam ki ajab tasveer hai chaaron taraf,
    Darmiyaan us ke hai ik patta hara hota hua,

    Itani aagahi to hai main badh raha hu kis taraf,
    Ye nahin maaloom kis se hu juda hota hua,

    Ik nava aahista aahista fanaa hoti hui,
    Ek harf-e-sad-talab chup chup adaa hota hua,

    Dekh main apani jagah se ik qadam saraka nahi,
    Dekh teri hi nishani hai Khata hota hua,

    Ik nazar imkaan-hazaar-imkaan safar karati hui,
    Ek manzar sau parat yaksar nayaa hota hua,

    badh raha hai kaun apana rasta lete hue,
    Apane hamraahon se chupake se khafa hota hua...



    aashana=acquainted;
    maanuus-e-sadaa=familiar sound;
    harf-e-sad-talab=word for a thousand desires;
    imkaan-hazaar-imkaan=having numerous possibilities;
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Koi sahil pe pahuche bhi kaise Online
    Offline Koi sahil pe pahuche bhi kaise Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by SourabhBasak Fri Sep 18, 2009 4:41 pm

    Ashu u deserve a +k for ur awesome posting.........
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Fri Sep 18, 2009 5:29 pm

    thanks sonu bhai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Sat Sep 19, 2009 9:37 am

    Wah uppal maza aa gaya, Subhan-Allah aise hi likhte rahiyey
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Sat Sep 19, 2009 10:59 pm

    shukriya haaya ji
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Tue Sep 22, 2009 4:27 pm


    kashti bhi nahi badli dariya bhi nahi badla,
    or dobnay walon ka jazba b nahi badla,
    hay shoq-e-safar aisa ik umr se yaro
    manzil bi nahi paai rasta b nahi badla.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Guest Tue Sep 22, 2009 6:19 pm

    hum aankh se aankhon ko rulaya nahi kartey
    yeh ashk k motee yunhi zaya nahi kartey

    har shart mujhay qubool sitaron ki baat na kar
    aasmaan se sitaron ko churaya nahi kartey

    raah khaali daikh kar fauran palat gaya
    wafa ki raah main tanha qadam jaaya nahi kartey

    Sponsored content

    Koi sahil pe pahuche bhi kaise Empty Re: Koi sahil pe pahuche bhi kaise

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Fri Apr 19, 2024 3:54 pm