jane kyun wo saanson ki dor tutne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka wasta de kar, mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai wo mujh se, hans hans kar jee lene ki
ajeeb hai mujhko, chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe, chand sitaron ko chhoo lene ka
wo pyara sa chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta
shayad janati hai wo in aankhon mai, aansuon ka sailaab hai
jane kyun fir bhi wo in aansuon ko girne nahi deta
mujh se kehta hai,"main toh mar jaungi tumhare bina"
main zinda hun ab tak ke wo mujhe marne nahi deta