najaaney rooth ke mujh se , kidher jaa basi hai
talaash main hoon zindagi ki , aap ke jaaney ke baad
sawaal jo kartey hain log , aksar mujhey chup sa dekh kar
dhoond raha hoon zubaan apni, aap ke jaaney ke baad
sard raaton ke sanna'aton main, jo aahat sunta tha teri saanson ki
tarasta raha phir aisi mooseqi ko , aap ke jaaney ke baad