Marti hui zameen ko bachana pada mujhe
Badal ki thara zameen pe ana pada mujhe
Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana pada mujhe
Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
Phir yun hua ke mar ke dikkana pada mujhe
Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana pada mujhe
Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana pada mujhe
Aise biched kar usne mar jana tha
Uski nazar main khud ko girana pada mujhe