Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ke palkein sanvaar lun,
Mera lafz lafz ho aaiinaa tujhe aaiine mein utaar lun,
Main tamaam din kaa thaka hua tu tamaam shab ka jaga hua,
Zara thahar ja isii mod par tere saath shaam guzaar lun,
Agar aasamaan ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayaam ho,
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyaan tere haar lun,
kai ajanabi teri raah ke mere paas se yun guzar gaye,
Jinhein dekh kar ye tadap hui tera naam leke pukaar lun...

Author : Bashir Badr.
izn-e-qaayam=command to stop