Fasala to hai magar koi fasala nahi,
Mujhse tum juda sahi dil se to juda nahi,
Aasmaan ka fikr kya aasmaan Khafa sahi,
Aap ye bataiye aap to khafa nahi,
Kashtiyaan nahi to kya hausale to paas hai,
Keh do naakhudaaon se, tum koi khuda nahi,
Lijiye bula liya aap ko khayalon mein,
Ab to dekhiye hamein koi dekhata nahi,
Aaiiye chiraag-e-dil aaj hi jalaayen ham,
Kaisi kal hawa chale koi janata nahi...