Umang ki kaliyan aaj kyun khili hain,
Khushiyon ne ek baar phir karvat li hai,
Labo pe hansi ankhon mein nami bade din baad aayi hai,
Inn aansuon ne bade din baad palkon ko dastak di hai.
Iss rehsymai khushi ko bayan karna zara mushkil hai,
Jaise door bikhre taron ko ginna namumkin hai,
Suraj ki kiran ek nayi shuruat deti hai,
Par chandni raatein bhi to sapno ko sanjone ki raat deti hai.
Iss anjaani khushi ko kya naam dun,
Ho sake to badle mein ek hansi ki saugaat dun,
Gamon ke bich khushiyan dhundna mushkil zaroor hota hai,
Par yaadon ke bich,
Hansi ki ek lehar ka maza kuch aur hi hota hai.
Aankhon ke samne khushiyan bikhri padi hain,
Inhe sametne ke liye hathon ki kami lag rahi hai,
Hansti khilkhilati khushiyan mujhe bula rahi hain,
Bahein failaye mujhe pukar rahi hain,
Hath jo badaya maine to apni taraf khich liya,
Ghamo ke andhkaar se nikalkar,
Khushiyon mein dhakel diya.
Ab kyun ankhon mein phir se nami hai,
Khilkhilati khushiyan aansuon ko poch rahi hain,
Ye aansoo bhi bade ajeeb hote hain,
Bina puche apni rah bana liya karte hain.
Kash ye aansuon ki lehar roz aaye,
Kash ye bikhri khushiyan mere anchal mein sama jayein,
Par jana to inhe bhi hoga ek na ek din,
To phir khushiyon ka jashan hi kyun na manaya jaye...