Nirbaal se ladayi balwaan ki,
Yeh kahani hai diye aur toofan ki,
Ik raat aandhiyari,thi dishayen kaari-karri,
Mand-mand tha pawan chal raha,
Aandhiyare ko mitane ko jag mein jyot jala,
Ek chota sa diya kahin tha jal raha...
Kahin door tha toofaan,
Diye se tha woh balwaan,
sare jag ko masalne machal raha tha...
Ek nanha sa diya,ussne haamla kiya,
Aab dekho lila vidhi k vidhwaan ki,
Duniya ne saath chora, mamta ne muh moda
Aab diye pe ye dukh padne laga,
Par himmat naa haar,
Maan mein marna vichar,
Atyachar ki hawa se ladne laga...
Ladte ladte woh thaka,
Phir bhi na bujh saka,
uski jyot mein tha bal re sachayi ka,
Sar patak patak,pag jatak jatak,
Naa hata paaya diye ko apni aan se,
baar baar waar kar,aant mein haar kar,
Toofan bhaga re maidan se...
Yeh kahani hai diye aur toofan ki,
Ik raat aandhiyari,thi dishayen kaari-karri,
Mand-mand tha pawan chal raha,
Aandhiyare ko mitane ko jag mein jyot jala,
Ek chota sa diya kahin tha jal raha...
Kahin door tha toofaan,
Diye se tha woh balwaan,
sare jag ko masalne machal raha tha...
Ek nanha sa diya,ussne haamla kiya,
Aab dekho lila vidhi k vidhwaan ki,
Duniya ne saath chora, mamta ne muh moda
Aab diye pe ye dukh padne laga,
Par himmat naa haar,
Maan mein marna vichar,
Atyachar ki hawa se ladne laga...
Ladte ladte woh thaka,
Phir bhi na bujh saka,
uski jyot mein tha bal re sachayi ka,
Sar patak patak,pag jatak jatak,
Naa hata paaya diye ko apni aan se,
baar baar waar kar,aant mein haar kar,
Toofan bhaga re maidan se...