Dekhe hue kisi ko, bahut din guzar gaye,
iss dil ki be-basi ko, bahut din guzar gaye...
har shab chhaton pe chaand, utarta to hai magar,
iss ghar mein chaandni ko, bahut din guzar gaye...
koi jawaaz dhoondh, gam-e-naa-shanaas ka
be-wajah be-kali ko, bahut din guzar gaye...
abb tak akelepar ka, musalsal azaab hai,
duniya se dosti ko, bahut din guzar gaye...
Teri rafaqatein to, muqaddar mein hi na thee,
abb apni hi kami ko, bahut din guzar gaye...
muddat huyi hai toot ke, roya nahi hoon main,
iss chain ki ghadi ko, bahut din guzar gaye...
jo aitbaar zakhm-e-hunar ne, ataa kiya,
'BILAL', wo shayari ko, bahut din guzar gaye.....