Woh desh kaun sa hai?
Manmaohini prakruti ki jo godh mein basa hai,
Sukh swarg-sa jahaan hai, woh desh kaun sa hai?
Jiske charan nirantar ratnesh dho raha hai,
Jiska mukut himalaya, woh desh kaun sa hai?
Nadiyan jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai,
Seecha huva salona, woh desh kaun sa hai?
Jiske bade rasile, phal-kand–naaj-meve,
Sab ang mein saje hai, woh desh kaun sa hai?
Jisme sugandh waale, sundar prasun pyaare,
Din- raat hus rahein hai, woh desh kaun sa hai?
Jiske anant dhan se dharti bhari padi hai,
Sansaar ka shiromani, woh desh kaun sa hai?
Sabse pratham jagat mein jo sabhya tha yashaswi,
Jagdish ka dulaara, woh desh kaun sa hai?
Prithvi nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya,
Shikshit kiya, sudhaara, woh desh kaun sa hai?
Jismein huve alokik, tatvagna brahmagyani,
Gautam, Kapil, Patanjali, woh desh kaun sa hai?
Chodo swaraaj trunavat, aadesh se pita ke,
Woh Ram the jahaan par, woh desh kaun sa hai?
Nihswaarth shudh premi bhaayi base jahaan the,
Laxman – Bharat jaise, woh desh kaun sa hai?
Devi pavitrata ki Sita jahaan huyi thi,
Mateshwari jagat ki, woh desh kaun sa hai?
Aadarsh nar jahaan par the bal-brahmachaari,
Hanuman, Bhishma, Shankar, woh desh kaun sa hai?
Vidwan, veer, yogi, guru raajnitiko ke
Shrikrishna the jahaan par, woh desh kaun sa hai?
Vijayi, bali, jahaan ke, bejod surma the
Guru Dron, Bheem, Arjun, woh desh kaun sa hai?
Jisme daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the,
Sab log ka hiteshi, woh desh kaun sa hai?
Pachpan karod jan hai, sevak saput jiske,
Bhaarat siway dooja, woh desh kaun sa hai?