Uss ajnabi ka yaqeen kar liya kaisey,
Woh ek sada warq thha padh liya kaise ?
Woh gaon gaon phira, sheher sheher ghoom aya,
Zara si bheed mein woh kho gaya kaisey ?
Ussey khabar thhi ki ek din bichhadna hai,
woh saath saath mere muddaton chala kaise?
Mai kiska hissa thha pehley na koi haanth badha,
Mai bat gaya to shikayat hai, bat gaya kaise?
Suna hai gairon mein kuchh apney log shamil hein
Magar ye baat mai gairon se poochhta kaise ?
Woh sheher-yaar hawaon ka rukh samajhta thha
Charaag uska jalaya hua bujha kaise ?
Jo zer-e-aab thhey woh intizaar mein thhey
Mai doob kar to ubhra thha, doobta kaise ?
Tum uski bazm se uth kar to aa gaye ho "Ayaaz"
Ye dekhna thha ki woh dekhta kaise ?
"Ayaaz Jhaswi"