FRENZ 4 EVER

~~~Mera Yaar~~~ Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

~~~Mera Yaar~~~ Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    ~~~Mera Yaar~~~

    Anonymous
    Guest
    Guest

    ~~~Mera Yaar~~~ Empty ~~~Mera Yaar~~~

    Post by Guest Thu Nov 05, 2009 9:53 am

    Ek gulab tha
    Bada udas tha
    Rang bhi us ka tha kuch ura ura sa
    Shabnam ke ansoo rawan the us ke
    Dil tha us ka kuch bujha bujha sa

    Bahaar ka tha mausam phir bhi na khila tha
    Dali se tha wo apni kuch jhuka jhuka sa
    Main ne jo dekha use
    Pass ja k pocha uss se

    Kyu hai udas tu?
    Kyu karta hai dil barbad tu?
    Kis ko kerta hai yaad tu?

    Ye sun ker wo rone laga
    Shabnam ke ansoon se mooh dhone laga
    Aur rote rote bas ye kehne laga

    Mera yaar mujh ko chor gaya hai
    Mera pyar mujh se mooh mor gaya hai
    Ab main kis ke liye khil jaoon
    Ab main kis ke liye khushbu mahkaoon

    Mujhe kon apne dil se lagayega
    Mujh ko kon apni sanso me basayega
    Mera chaman ujar gaya hai
    Mera yaar mujh se bichar gaya hai

    Bas ab to har lamhe us ki yaad hai
    Bas baqarari hai, tarap hai faryaad hai

    Mujh ko koi mere yaar se mila de
    Mujh ko koi mera pyar lota de
    Wo ayega to khil jaoon ga maiN
    Apni zindagi se mil jaoon ga maiN


    ~~~Mera Yaar~~~ 3057-mera-yaar-mujhse-bichad-gaya-hai-4lxgy74




    Anonymous
    Guest
    Guest

    ~~~Mera Yaar~~~ Empty Re: ~~~Mera Yaar~~~

    Post by Guest Thu Nov 05, 2009 9:54 am

    Zakhm ko phool to sar sar ko sabaa kahte hain,
    Jaane kya daur hai kya log hai kya kahte hain,

    Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale,
    Aab wahi log hamein aabalapaa kahte hain,

    Yeh bhi andaaz-E-sukhan hai ke jafa ko teri,
    Gamza-O-ishva-O-andaaz-O-adaa kahte hain,

    Jab talak dur hai tu teri parastish kar lein,
    hum jise chu na sake us ko khuda kahte hain,

    kya taajjub hai ke ham ahl-e-tamana ko,
    Woh jo maharum-E-tamana hain bura kahte hain...





      Current date/time is Fri Apr 26, 2024 10:07 pm