patthar kaha gaya kabhi sheesha kaha gaya
dil jaisi ek cheez ko kya kya kaha gaya
sheron mein uske husn ko kya kya kaha gaya
baadal ko zulf phool ko chehra kaha gaya
socho to ye bhi ek qafas hi to hai jise
tehzeeb ki zuban mein kamra kaha gaya
hairat hai unki bazm e mohabbat mein kal `Zafar'
mujhse gunahgaar ko apna kaha gaya