FRENZ 4 EVER

Sab kuch badal gaya Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Sab kuch badal gaya Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Sab kuch badal gaya

    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Sab kuch badal gaya Online
    Offline Sab kuch badal gaya Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Sab kuch badal gaya Empty Sab kuch badal gaya

    Post by SourabhBasak Fri Dec 04, 2009 6:56 pm

    aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
    woh shakhs ek shaam mein kitna badal gaya

    kuch din to raha mera aks aayeena naqsh
    phir yoon huwa ki khud mera chehra badal gaya

    jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
    to kya hua jo hum say zamana badal gaya

    kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
    us nay churaya haath to sehra badal gaya

    koi bhi cheez apni jagah par nahi rahi
    jatay hi aik shakhs kay kya kya badal gaya

    ik sargoshi ki mauj ne kaisa kya kamal
    woh be-niaaz saara ka saara badal gaya

    uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
    pardaah utha to saara tamasha badal gaya

    hairat say saaray lafz usay dekhtay rahe
    baaton mein apni baat ko kaisay badal gaya

    kehnay ko ghar kay sehan mein deewar hi bani
    ghar ki fizaa makan ka naqsha badal gaya

    shayad wafa kay khel mein uktaa gaya tha woh
    manzil kay qareeb aa kay jo rasta badal gaya

    qayam kisi bhi haal pay duniya nahi rahi
    taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

    manzar ka rang asal mein saaya tha rang ka
    jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

    andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
    us nau-bahar naaz ka chehra badal gaya

    aankhon mein jitnay ashk thay jugnoo say ban gaye
    woh muskuraya aur meri duniya badal gaya

    apni gali mein apna hi ghar dhoondtay hain log
    yeh kon dil kay shehar ka naqsha badal gaya
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Sab kuch badal gaya Online
    Offline Sab kuch badal gaya Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Sab kuch badal gaya Empty Re: Sab kuch badal gaya

    Post by SourabhBasak Sun Dec 06, 2009 10:46 pm


    Bandishen Hum Ko Kisi Hal Gavara Hi Nahin..
    Hum To Vo Log Hain Divar Ko Dar Karte Hain!!

      Current date/time is Fri Mar 29, 2024 2:07 am