khusbo'on ki tarha meri har saans main
pyar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil main sajane ka wada karo
hai tumhari wafaon pe mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoon hi meri tasalli ki khatir zara
mujko apna banane ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkanoon main naya rang bharte ho tum
baarha kar chuke ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo
sirf lafzoon se iqrar hota nahi
ik janib se hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhne ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo.
pyar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil main sajane ka wada karo
hai tumhari wafaon pe mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoon hi meri tasalli ki khatir zara
mujko apna banane ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkanoon main naya rang bharte ho tum
baarha kar chuke ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo
sirf lafzoon se iqrar hota nahi
ik janib se hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhne ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo.