Main ne Ghazlon Main Utara Hai Tumhara Chehra,
K Mujhay Jaan Se Hai Piyara Tumhara Chehra,
Tum ko is baat ka Ehsaas Janay kab ho,
Meri Aankhon ka Kinara hai Tumhara Chehra,
Dekh k is ko Sukoon Dil ko Moyassar Aaye,
Mujh ko Ghairon main Sahara hai Tumhara Chehra,
Apni Maamool ki Takhleeq se Hat kar Jaisay,
Uss ne Fursat se Sanwara hai Tumhara Chehra,
Apni Takhleeq se Wo Khud ko Aayan Karta hai,
Uss ki Qudrat ka Ishaara hai Tumhara Chehra...