FRENZ 4 EVER

Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Empty Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Post by Guest Fri Feb 05, 2010 4:40 pm

    Sukun Mila Na Jeete Jee Mujhe Ek Pal Ka Us Duniya Mein,
    Is Tanhayi Mein Maine Jannat Sa Sukoon Paaya Hai,

    Wahan Jahan Pairon Tale Khud Apna Saaya Kuchal Jaata Tha,
    Yahan Is Mitti Ki Chadar Ne Mujhe Kitna Aaram Dilaya Hai,

    Na Yahan Pe Aansu Hai, Na Hi Gam-O-Dard Kisi Baat Pe,
    Meri Maut Ne Mera Har Dard Bhulaya, Har Aansu Chhupaya Hai,

    Us Duniya Ki Jagmagahat Mein Bheed Mein Bhi Tanhayi Thi,
    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai,
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Empty Re: Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Post by Guest Fri Feb 05, 2010 5:11 pm


    Ye Qabr Ke Andhere Yaad Dila Rahein Hai Kuch Na Jaane Kyon,
    Tanhaiyon Mein Guzar Rahi Hai Raat Na Jaane Kyon,

    Sun na Lein Aaj Koi Aahat Qabr Pe Bichhi Hui Mitti Ki,
    Dar Lagta Hai Aaj Hawaon Se Na Jaane Kyon,

    Sar Dhaka Hai Jis Mitti Se Mera Zameen Ki Godi Mein,
    Aj Wo Mitti Sehla Rahi Hai Mere Gesu Na Jaane Kyon,

    Tu Na Aaya Tha Zindagi Bhar Mere Ashq Samajhne,
    Aaj Samajhna Chahta Hai Mitti Ki Garmahat Na Jaane Kyon
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Empty Re: Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Post by Guest Thu Feb 18, 2010 9:02 pm

    josh-e-junun ke saath jab pakda hath
    khud ko dulhan ki tarah sajaya mene
    dard dil ke sunaye nahi jate phir bhi
    dard ko ghazal banake sunaya mene
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Empty Re: Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Post by Guest Sat Feb 27, 2010 12:33 am

    Tamanna Thi Fanah Hone Ki Shayad
    Jo Is Dil Ne Pyar Ka Izhaar Kiya
    Do Pal Na Baithe Tum Paas Mere
    Dil Ne Barson Tera Intezaar Kiya

    Sponsored content

    Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai Empty Re: Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Fri Mar 29, 2024 12:02 pm