FRENZ 4 EVER

Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye...

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Empty Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye...

    Post by Guest Tue Dec 09, 2008 10:43 pm

    Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Bridge10



    kabhi to aasman se chand utare jaam ho jaaye,
    tumhare naam ki ik khubasurat shaam ho jaaye,

    hamara dil savere ka sunahara jaam ho jaaye,
    charagon ki tarah aankhen jale jab shaam ho jaaye,

    ajab halaat the yu dil ka sauda ho gaya aakhir,
    mohabaat ki haveli jis tarah neelam ho jaaye


    samandar ke safar mein is tarah aawaaz do humko,
    hawaayen tez ho aur kashtiyon men shaam ho jaaye,

    mai Khud bhii ehatiyaatan us gali se kam guzarata hu,
    koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye,

    mujhe malum hai us ka Thikana phir kaha hoga,
    parinda aasmaan chune mein jab naaqaam ho jaaye,

    ujaale apani yaadon ke hamare saath rahane do,
    na jaane kis galii mein zindagi ki shaam ho jaaye .

    Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Divide10
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye... Empty Re: Koi masoom kyun mere liye badanam ho jaaye...

    Post by Guest Thu Dec 11, 2008 12:40 am

    Aasman bhi jhook gaya ye kis kami ke waste,
    Mar rahe the bar bar zindagi ke waste,

    Tha chupa rakha jab suraj ne chehra apna,
    Chaand tare jal gaye roshani ke waste,

    Har tarf thi mausiyan ro raha tha ye naseeb,
    Sah rahe the har sitam bebasi ke waste,

    Zindagi hi loot gayi tu kaun puchta hai yaha,
    Dhoondte hi reh gaye har khushi ke raaste,

    Aankh ka pani bhi ab dard se sookh gaya,
    nahi rote aaj hum kisi ki dosti ke waste,

    hum ne wafa ki thi bohot to bewafa humse kahen,
    Bohot milte hai aaj sanam aashiqi ke waste,

    hum andhero mein bhi roye ager to ilzaam sab lagate the,
    Aag laga di aaj ghar mein roshani ke waste,

    Aajizi se manga tha jab to kuch nahi humen mila,
    zid mein aaye to aasma bhi jhook gaya har khushi ke waste...

      Current date/time is Sat Apr 27, 2024 1:09 am