FRENZ 4 EVER

Ilzaam rakh diyaa Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Ilzaam rakh diyaa Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Ilzaam rakh diyaa

    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Ilzaam rakh diyaa Online
    Offline Ilzaam rakh diyaa Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Ilzaam rakh diyaa Empty Ilzaam rakh diyaa

    Post by SourabhBasak Sat Mar 21, 2009 12:09 pm

    Duniya ne hum pe jab koi ilzam rakh diya
    humne muqabil uske tera naam rakh diya

    eik khaas hadd pe aa gai jab teri berukhi
    naam uska humne gardish-e-ayaam rakh diya

    mein larkarata raha hon tujhe dekh dekh ker
    tunay tou mere samne eik jaan rakh diya

    kitna sitam-zareef hai woh saheb-e-jamaal
    usne diya jala ke lab-e-baam rakh diya

    abb jis ke jee mein aaye wahi paye roshni
    hum ne tou dil jala ke sar-e-aam rakh diya

    kya maslehat-shanaas tha woh admi ~Qateel
    majbooriyoN ka jisne 'wafa' naam rakh diya
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by Guest Sat Mar 21, 2009 10:21 pm

    wah kya baat hai sonu too gud... clap 2

    Ham par tumhari chahat ka ilzaam hi to hai,
    Dushnaam to nahi hai ye ikaraam hi to hai,

    Karte hai jis pe taa'n, koi jurm to nahi,
    Shauq-e-fuzuul-O-ulfat-e-nakaam hi to hai,

    Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai,
    Aae jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai,

    Dil naa-ummiid to nahi, na-kaam hi to hai,
    Lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai,

    Dast-e-falak mein, gardish-e-taqadir to nahi,
    Dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai,

    Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa,
    Wo yaar-e-khushkhasaal sar-e-baam hi to hai,

    Bhigi hai raat gazal ibtidaa karo,
    Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai...




    taa'n=sarcasm
    Khushkhasaal=virtuous, pure
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Ilzaam rakh diyaa Online
    Offline Ilzaam rakh diyaa Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by SourabhBasak Mon Mar 23, 2009 11:43 am

    Kya baat hai baba bhai..... clap 2 clap 2 clap 2


    Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
    Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

    Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
    Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

    Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
    Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

    Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
    Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

    In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
    Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

    Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
    Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

    Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
    Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

    Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrate
    Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by Guest Mon Mar 23, 2009 3:10 pm

    shubhanallaha nice ashars.... supreb itz 1 my favorites.... rose gift

    Iss jahan mein ab ye kisse aam hain,
    Pyar jo karte hain wo badnaam hain,

    Woh khuda manind insan poojta hai,
    Is tarah ke mujh pe kuch ilzaam hain,

    Saari duniya ko wo thokar marta hai,
    Jis ke haathon mein sura aur jaam hain,

    Khush hain wo baazi siyasat ki bichha ke,
    Jinke patton mein Siya aur Ram hain,

    Keh gaye Rahiman ki pani rakhiye,
    Aajkal Roti ke mahange daam hain...
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Ilzaam rakh diyaa Online
    Offline Ilzaam rakh diyaa Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by SourabhBasak Mon Mar 23, 2009 5:47 pm

    Bahut khoob bhaijaan flowers flowers flowers
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by Guest Mon Mar 23, 2009 5:58 pm

    thanx dear... thankyou
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Ilzaam rakh diyaa Online
    Offline Ilzaam rakh diyaa Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by SourabhBasak Wed Mar 25, 2009 11:18 am

    Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
    Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

    Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
    Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai

    Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
    Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai

    Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
    Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai

    Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `Sabir',
    Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by Guest Fri Mar 27, 2009 2:10 pm

    kya baat hai...Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko....Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai... luvly ashar



    Inn aankho me ashqo ki saugat le aaya hoon,
    ho ke mayoos tere desh ko fir laut aaya hoon;

    Aaj bhi rasme deedar -e-rukh ko main bhoola nahi,
    Teri nazar karne ko beemar -e-dil le aayA hoon;

    Ishq ke parcham ko koi toofan kya rok sakega,
    Kabhi main bhi yaha har baam pe lahraya hoon;

    Aaj tanha hi falak pe shab bhar jalna hai mujhe,
    kisi chaand ki tarah baadal se nikal aaya hoon;

    Kuch naya nahi jo ki tere ishq me bikhar gaya,
    ulfat ki hi daastaan fir ik baar dohraya hoon;

    Aab uska zikr bhi mere saamne na karo,
    Main uski fikr uske shahar hi chhod aaya hoon...

    Sponsored content

    Ilzaam rakh diyaa Empty Re: Ilzaam rakh diyaa

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Sat Apr 27, 2024 12:24 am