FRENZ 4 EVER

Haan issi ka naam to pyaar hai Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Haan issi ka naam to pyaar hai Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Haan issi ka naam to pyaar hai

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Haan issi ka naam to pyaar hai Empty Haan issi ka naam to pyaar hai

    Post by Guest Sat Mar 13, 2010 10:36 pm

    Ek pal mein wo has dete hai...
    Duje hee pal mein khafa ho jaate hai...
    Khatti-Meethi Nok Jhok se...
    Hum ek duje ka dil behlate hai...
    Kya iska hee naam Pyaar hai?



    Unke saath yeh duniyaa bhari si lagti...
    Unke bina ajeeb sa sunapan hai...
    Durr sahi unka saath muje hai mehsoos hota...
    Baat na hone se Virana hai..
    Kya iska hee naam Pyaar hai?


    Pal pal muje wo hai satate...
    Muje hee yaad karte hai har pal..
    Fir bhi hai kyun itna itraate...
    Kabhi khushi tou kabhi ghum hai...
    Kya iska hee naam Pyaar hai?


    Pyaar hum dono ek duje se karte...
    Ladai ke mamle mein bhi aage hai rehte..
    Pyaar bhi ladai bhi hai...
    Nazdikiyaan - Tanhai bhi hai..
    Kya iska hee naam Pyaar hai?


    Ek duje ke bina ek pal bhi na reh paate..
    Fir bhi ladne ke baad dono hai itraate..
    Ek duje ki galti maff karna hai humne seekha
    Haan isika naam tou pyaar
    hai...

    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Haan issi ka naam to pyaar hai Online
    Offline Haan issi ka naam to pyaar hai Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    Haan issi ka naam to pyaar hai Empty Re: Haan issi ka naam to pyaar hai

    Post by imran niazi Sun Mar 14, 2010 1:29 am

    Very Good Post Tanvi Dear, Here is + K for you

    Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
    Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
    Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
    Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
    Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
    Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
    Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
    Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
    Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
    Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
    Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
    Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
    Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
    Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
    Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
    Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
    Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
    Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
    Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
    Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
    Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
    Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
    Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
    Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
    Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
    Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
    Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
    Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
    Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
    Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Haan issi ka naam to pyaar hai Empty khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi

    Post by Guest Sun Mar 14, 2010 11:54 am

    Tere badan se chura ker mehak hawa degi
    Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi


    Mujhe yaqeen hai jab mera tazkara ho ga
    Woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi


    Mera her sher teri yaadon se aashna yun hai
    Meri her ghazal mere dard ka pata degi


    Main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal
    Dua ko aik naya tarz-e-iltija degi


    Jo khud ko bashar kahe or dare bashar se hi
    Khuda ki gaibi madad saath us ka kia degi



    Tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak
    Mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi


    Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat se qabal Kya
    khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi

    Sponsored content

    Haan issi ka naam to pyaar hai Empty Re: Haan issi ka naam to pyaar hai

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Thu Mar 28, 2024 11:26 pm