FRENZ 4 EVER

"Pagal Ki Tarah" Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

"Pagal Ki Tarah" Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    "Pagal Ki Tarah"

    Anonymous
    Guest
    Guest

    "Pagal Ki Tarah" Empty "Pagal Ki Tarah"

    Post by Guest Wed Oct 01, 2008 12:37 am

    koi jopare ko keheta mahal ki tarah,
    koi keechad mein reheta kamal ki tarah,

    koi maang raha aankh mein kaajal ki tarah,
    aur koi khush hai pauon mein payal ki tarah,

    koi uud raha hai hawaon mein aanchal ki tarah,
    koi khada hai zameen pe achal ki tarah,

    koi rakh raha hai kadam sambhal ke zara,
    aur koi jhoom raha hai "pagal ki tarah"...

    koi ek saath hai barish-baadal ki tarah,
    koi saath-saath ped aur phal ki tarah,

    koi umr bhar tanha uss pal ki tarah,
    jo beet raha aaj phir kal ki tarah,

    ghum beh raha aankh se jal ki tarah,
    koi gaa raha hai ab dard gazal ki tarah,

    naa mar saka, naa jee saka, ghayal ki tarah,
    bus haas raha dard mein "pagal ki tarah"...


    Last edited by Baba on Thu Aug 27, 2009 11:27 pm; edited 1 time in total
    Anonymous
    Guest
    Guest

    "Pagal Ki Tarah" Empty Re: "Pagal Ki Tarah"

    Post by Guest Wed Oct 01, 2008 12:38 am

    Aur hote hai woh jo har haal me hanse jaate hai,
    Hum woh pagal hai jo rone ko taras jaate hai,
    Doston,Dil jo ujda to nahin koi basane wala,
    Ghar jo ujde to do roz me bas jaate hai...


    Last edited by Baba on Wed Oct 01, 2008 12:41 am; edited 1 time in total
    Anonymous
    Guest
    Guest

    "Pagal Ki Tarah" Empty Re: "Pagal Ki Tarah"

    Post by Guest Wed Oct 01, 2008 12:41 am

    Hum Bhi Deewane Hue Aakhir Deewano Ki Basti Mein,
    Koi Apna Dhundhne Nikla Humein Begano Ki Basti Mein,

    Chehere Par Ek Cehera Laga Kar Har Pal Sau Sau Rang Bhare,
    Hum Kho Baithe Apni Hakikat Afsano Ki Basti Mein,

    Jinke Liye Khud Ko Jalaya Who Parwane Raakh Hue,
    Shamma Khadi Hai Mujrim Bankar Parwano Ki Basti Mein,

    Zarra Zarra Awara Hai Yaha Rahon Mein,
    Kahan Tak Bhatkoge Tum Veerano Ki Basti Mein,

    Sponsored content

    "Pagal Ki Tarah" Empty Re: "Pagal Ki Tarah"

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Thu Mar 28, 2024 5:53 pm