Yeh mojaza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe
ki sang tujhpe gire aur zakhm aaye mujhe
[ mojaza=miracle, sang=stone, ]
Woh meharabaan hai toh iqraar kyu nahi karta
woh badgumaan hai to sau baar aazamaye mujhe
[ badgumaan=Suspicious ]
Main apane paanv tale raundata hoon saaye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaaye mujhe
Main ghar se teri tammana pahan ke jab niklu
barahana shahar mein koi nazar na aaye mujhe
[ tamanna = desire, barahana = everytime ]
Woh mera dost hai saare jahan ko hai malum
dagaa kare woh kisi se to sharm aaye mujhe
Main apni zaat mein nilaam ho raha hoon 'Qateel'
gam-e-hayaat se keh do Kharid laaye mujhe
[zaat= Caste, Race, Self,gam-e-hayaat=Sorrows Of Life]
~*~ Qateel Shifai ~*~