FRENZ 4 EVER

Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha

    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha Online
    Offline Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha

    Post by imran niazi Fri Mar 26, 2010 5:12 pm

    Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha
    Main Nay Ik Wasl Ko Ik Hijr Ki Haalat Likha

    Main Nay Likha Keh Saf-E-Dil Kabhi Khali Na Hui
    Aur Kabhi Khali Hui Bhi To Malaamat Likha

    Sirf Aawaz Kahan Tak Mujhay Jaari Rakhti
    Main Nay Chup Saadh Li Sannatay Ko Aadat Likha

    Yeh Safar Paaoon Hilanay Ka Nahin Aaankh Ka Hai
    Main Nay Is Baab Main Ruknay Ko Masaafat Likha

    Main Nay Perwaaz Likhi Hud-E-Falak Say Aagay
    Aur Bay Baal-O-Pari Ko Bhi Nehaayat Likha

    Main Nay Dasktak Ko Likha Kash-Makash-E-Bay Khabri
    Jumbish-E-Parda Ko Aanay Ki Ijaazat Likha

    Likhnay Walon Nay To Honay Ka Sabab Likha
    Main Nay Honay Ko Na Honay Ki Wazahat Likha

    Ashk Agar Sab Nay Likhay Main Nay Sitaray Likhay
    Aajzi Sab Nay Likhi Main Nay Ibaadat Likha

    Main Nay Khushboo Ko Likha Dastaras-E-Gumshudgi
    Rung Ko Faasla Rakhnay Ki Riwaayat Likha

    Zakhm Likhnay Kay Liye Main Nay Likhi Hai Ghaflat
    Khoon Likhna Tha M agar Main Nay Haraarat Likha

    Husn-E-Goyai Ko Likhna Tha, Likho Sargohsi
    Shor Likhna Tha So Aazar-E-Sama’at Likha

    Meray Sir Pay Kabhi Afsos Ka Saya Na Reha
    Ranj Tha Jis Ki Jagah Main Nay Shikayat Likha

    Main Nay Tabeer Ko Tehreer Main Aanay Na Diya
    Khwab Likhtay Huay Mohtaj-E-Bashaarat Likha

    Koi Aasaan Rafaqat Nahin Likhi Main Nay
    Qurb Ko Jab Bhi Likha Juzw-E-Raqabat Likha

    Itnay Daawon Say Guzar Ker Yeh Khayal Aata Hai
    Azm Kya Tum Nay Kabhi Harf-E-Nadamat Likha

      Current date/time is Fri Apr 19, 2024 11:21 am