FRENZ 4 EVER

Wafa-o-Ishq Par Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Wafa-o-Ishq Par Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Wafa-o-Ishq Par

    shelly
    shelly
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Wafa-o-Ishq Par Online
    Offline Wafa-o-Ishq Par Offline


    Female

    Capricorn Snake

    Posts : 181
    I Liveindia

    Job/hobbies : reading and writing shayaris
    KARMA : 29
    Reward : 216

    Mood : sad

    F4e Status : Yun Aaye Zindagi Akela Chor Diya Tune Ki Kafan Odh Rahi Aaj Mujh Par Yeh raat Hai

    Wafa-o-Ishq Par Empty Wafa-o-Ishq Par

    Post by shelly Mon May 17, 2010 7:59 pm

    Aakhir-Kaar



    Wafa-o-Ishq Par Hum Shayari Kis Qadar Likhen
    Kahan Tak Hijr Likhen, Kab Talak Ranj-e-Jigar Likhen
    Kabhi Toh Khud-Ba-Khud Humpar Udaasi Ki Inaayat Ho
    Kabhi Dil Ko Udaasi Ke Na Hone Ki Shikayat Ho
    Kabhi Tanhaai Ki Chahat, Kabhi Logo Se Bezari
    Kabhi Mehfil Se Ho Nafrat, Kabhi Mehfil Lage Pyari
    Kabhi Hum Bolne Par Aaye Toh Bole Chale Jaye
    Kitaab-e-Zaat Ko Har Shaqs Pe Khole khole Chale Jaye
    Kabhi Chup Ho Toh Patthar Ke Kisi Buth Ke Saman Guzre
    Khamoshi Dil Lubhati Ho Toh, Sada Humko Garan Guzre
    Kahan Tak Yaad-e-Maazi Ko Saath Lekar Hum Jiye Jaye
    Hamesha Kis Tarha Shero'n Ko Ek Hi Rukh Diye Jaye
    Kahan Tak Apne Daaman Ko Lahu Se Tar-ba-Tar Likhen
    Kahan Tak Zindagani Ko Andheron Ka Bhanvar Likhen

    Kabhi Apni Ujri Hui Haalat Banane Shehar Mein Nikle
    Mohabbat Ke Bharam Ko Hum Bhulne Shehar Mein Nikle
    Kabhi Hum Doston Se Zindagi Ka Gham Chupate Hon
    Kabhi Gairon Ko Daastanein Dil Ki Sab Baaten Sunate Hon
    Kabhi Hum Raunake Chahe Toh Kabhi Hum Veeranian Chahen
    Ajeeb Si Baat Hai Khush Ho Toh Gham-Samaniya Chahe
    Hua Tha Ishq Humko Bhi, Phir Gham-e-Hijr Mila Humko
    Naya Kya Tha Isme Jo Hum Batayen Alaam Ko

    Yunhi Itne Baras Ek Dillagi Ke Naam Kar Daale
    Yunhi Shero'n mein Qisse Aashiqui Ke Naam Kar Daale
    Yunhi Chanchal Sheher Ko Hum Udaasi Ka Nagar Likhen
    Yunhi Aabaad Ghar Ko Kab Talak Veeraan Ghar Likhen
    Zara Ab Waqt Ko Marham Lagane Ki Ijaazat De
    Jigar Ke Zakhm Ko Ab Bhar Jaane Ki Ijaazat De
    Kabhi Khud Par Udaasi Koi Bhi Taari Na Hone De
    Kisi Gham Se Ab Iss Dil Ki Kabhi Yaari Na Hone De

    Sheher Mein Sheher Waalon Ko Kabhi Ungli Na Uthane Ka
    Koi Mauka Hi Na De Unhe Baataein Banane Ka
    Chalo Yaksaaniyat Ko Shairy se Khatam kar Daale
    Chalo Duniya Pe Pehle Se Zara Hatke Nazar Daale
    Chalo Hum Zindagi Se Hijr Ka Mausam Badal Daale
    Sukhan Ki Uss Purani Si Ravish Ko Hum Badal Daale
    Chalo Hum Zindagi Ko Ummedon Ka Shehar Likhen

      Current date/time is Thu Mar 28, 2024 5:21 pm