Zinda Rahen Toh Kya Hai Jo Mar Jayen Hum Toh Kya
Duniya Mein Khamoshi Se Guzar Jayen Hum Toh Kya
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane Ke Aage
Ek Khwaab hai Jahan Mein Bikhar Jaye Hum Toh Kya
Ab Kaun Humsafar Hai Hamare Liye Wahan
Sham Ho Gayi Hai Laut Ke Ghar Jaye Hum Toh Kya
Dil Ki Khalish Toh Saath Rahegi Tamam Umr
Dariya-e-Gham Ke Paar Utar Jaye Hum Toh Kya
Zinda Rahen Toh Kya Hai Jo Mar Jaye Hum Toh Kya