dekho na yeh zindagi kaise kaise rang dikhati hai.
jise aaj tak nahi dhoond paye, usi ke sapne dikhati hai..
samajhne lage hain ab ki dhoondne se sapne nahi milte..
bahaaro ke aa jaane se hi kahin gul nahi khilte..
mohabbat ki talab bhi to samay ki ek paheli hai..
yeh tanhai bhi to isi zindagi ki ek saheli hai..
sapno main doob jaane ka to man karta hai..
par aati hui lahron ko dekh kar man darta hai..
doob jaana cahate hain hum jis samandar main..
uska raasta bhi is tanhai se ho kar guzarta hai..