Ye aankhe bechain rahe jo ansu do-char na aaye,
Kya karu jo mujhe tujh bin kahi qaraar na aaye,
Tu lakh berukhi kar le par is ishq me farq na aaye,
Ek jhalak jo dekh lu to mujhe tujh par hi pyar aaye,
Mujhse nata nahi rakhta aur daaman bhi nahi churata,
Jo uth ke chalne ko hu to uska paigaame-iqraar aaye,
Uski bandgi me main arsh walo se bhi bagawat kar lu,
Par jo chalna chahu to raaho me qaza ki deewar aaye,
Main uski dastaras se bahot door ho chuka hu lekin,
kabhi yaad karu usko to khwabo me har baar aaye...
Kya karu jo mujhe tujh bin kahi qaraar na aaye !!