Marti hui zamee’n ko bachana pada mujhe,
Baadal ki tarah dasht pe aana pada mujhe,
Woh ker nahee’n raha tha meri baat ka yaqee’n,
Phir yoo’n hua ke mar ke dikhana pada mujhe,
Bhoole se meri simt koi dekhta na tha,
Che’hre pe ik zakhm lagana pada mujhe,
Us ajnabi se haath milane ke waaste,
Mehfil me sab se haath milana pada mujhe,
Yaadai’n thee’n dafan aisi k bad-az-farokht bhi,
Us ghar ki dekh-bhaal ko jaana pada mujhe,
Us be-wafa ki yaad dilata tha baar baar,
Kal aaine pe haath uthana pada mujhe,
Aise bichar ke usne to mar jaana tha,
Uski nazar me khud ko girana pada mujhe...