FRENZ 4 EVER

~* Sab Kuch Badal Gaya *~ Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

~* Sab Kuch Badal Gaya *~ Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    ~* Sab Kuch Badal Gaya *~

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower ~* Sab Kuch Badal Gaya *~

    Post by Guest Wed Dec 08, 2010 10:47 am

    Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya,
    woh shakhs ek shaam mein kitna badal gaya,

    Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh,
    Phir yun hua ke khud mera chehra badal gaya,

    Jab apne apne haal pe hum tum na reh sake,
    To kya hua jo hum se zamana badal gaya,

    Qadmon tale jo reit bichi thi wo chal pari,
    Usne churaya haath to sehra badal gaya,

    Koi bhi cheez apni jaga par nahi rahi,
    jaate hi ik shakhs ke, kya kya badal gaya,

    Ik sarkushi ki moj ne kaisa kiya kamaal,
    Wo be-niyaaz sara ka sara badal gaya,

    Uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyaan,
    Parda utha to saara tamaasha badal gaya,

    Hairat se sare lafz usse dekhte rahe,
    Baaton mein apni baat ko kaise badal gaya,

    Kehne ko ik sehan mein deewar hi bani,
    Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya,

    Shayad wafa ke khel se uktaa gaya tha wo,
    Manzil ke paas aa ke jo rasta badal gaya,

    Qaym kisi bhi haal pe duniya nahi rahi,
    Taabeer kho gayi kabhi sapna badal gaya,

    "Manzar Ka Rang" asal mein Saaya Tha Rang Ka,
    Jisne use jidhar se bhi dekha badal gaya,

    Andar ke mousamon ki khabar us ko ho gayi,
    Us nou-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya,

    Aankhon mein jitne ashk the jugnoo se ban gaye,
    Woh muskuraya or meri dunya badal gaya,

    Apni gali mein apna hi ghar dhoondhte hai log,
    "Amjad" ye koun sheher ka naqsha badal gaya...

      Current date/time is Fri Apr 26, 2024 8:47 pm