Ek hunar hai jo kar gaya hun main
Sab ke dil se utar gaya hun main,
Kaise apni hansi ko zabt karun,
Sun raha hun ke ghar gaya hun main,
Kya bataun ke mar nahi pata,
Jeete jee jab se mar gaya hun main,
Ab hai bus apna samna darpesh,
Har kisi se guzar gaya hun main,
Woh hi naaz-o-adaa, voh hi ghamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hun main,
Ajab ilzaam hun zamaane ka,
Ke yahaan sab ke sar gaya hun main,
Kabhi khud tak pahunch nahi paya,
Jab ke wahan umr bhar gaya hun main,
Tum se janan mila hun jis din se,
Be-tarah, khud se dar gaya hun main
Kuu–e–jaanaan mein sog barpa hai,
Ke achanak, sudhar gaya hun main...
Sab ke dil se utar gaya hun main,
Kaise apni hansi ko zabt karun,
Sun raha hun ke ghar gaya hun main,
Kya bataun ke mar nahi pata,
Jeete jee jab se mar gaya hun main,
Ab hai bus apna samna darpesh,
Har kisi se guzar gaya hun main,
Woh hi naaz-o-adaa, voh hi ghamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hun main,
Ajab ilzaam hun zamaane ka,
Ke yahaan sab ke sar gaya hun main,
Kabhi khud tak pahunch nahi paya,
Jab ke wahan umr bhar gaya hun main,
Tum se janan mila hun jis din se,
Be-tarah, khud se dar gaya hun main
Kuu–e–jaanaan mein sog barpa hai,
Ke achanak, sudhar gaya hun main...