Main Kaha Kehta Hoon, Tere Bina Jee Nahi Paunga...
Main Kaha Kehta Hoon Ki Tu Jo Na Mili, Main Mar Jaunga...
Main Kaha Kehta Hoon Ki Suuna Tere Bina Sansar Hai...
Par Sanam Itna To Hai Ki Mujhko Tumse Pyar Hai!!!
Main Nhi Janta Ki Pyar Ka Matlab Kya Hai???
Zindagi Bhar K Liye Ikrar Ka Matlab Hai Kya???
Pagal Hoon Main, Nadan Hoon, Isse Kaha Inkar Hai??
Par Sanam Itna To Hai Ki Mujhko Tumse Pyar Hai!!!
Saato Janam Main Saath Dunga, Keh Nahi Sakta...
Is Janam Me Bhi Main Har Pal Reh Nahi Sakta...
Chaand Taare Launga, Yeh Sochna Bekar Hai...
Par Sanam Itna To Hai Ki Mujhko Tumse Pyar Hai!!!