Ik shakhs ko dekha tha, taaron ki tarah hamne,
ek shakhs ko chaha tha, apno ki tarah hamne,
ek shakhs ko samjha tha, foolon ki tarah hamne,
wo shakhs kayamat tha, kya uski karein baatein,
din uske liye paida aur uski hi thi raatein,
kam milta kisi se tha, hamse thi mulakatein,
rang uska shahaabi tha, julfon me thi mehkarein,
aakhien thi ki jaadu tha, palkein thi ki talwarein,
dusman bhi agar dekhe, to jaan se haare,
kuchh tumsa wo milta tha, baaton me sabahat thi,
haan tumsa hi lagta tha, shokhi me shararat mein,
lagta bhi tumhi sa tha, dastoore muhabbat mein,
wo shakhs hamein ek din apno ki tarah bhula,
taaron ki tarah dooba, foolon ki tarah toota,
fir haath na aaya wo, hamne bahut dhundha,
tum kis liye chaunke ho,tum kis liye chaunke ho,
kab jikr tumhara hai, kab tumse takaja hai,
kab tumse shikayat hai,
ek taaja hikayat hai,
sun lo to inayat hai,
Ik shakhs ko dekha tha, taaron ki tarah hamne,
ek shakhs ko chaha tha, apno ki tarah hamne,
ek taaja hikayat hai,
sun lo to inayat hai,