Aate aate mera naam sa rah gaya
us ke honton pe kuch kanpata rah gaya
Vo mere saamane hi gaya aur main,
Raste ki tarah dekhata rah gaya,
Jhuth vale kahin se kahin barh gaye,
Aur main tha ki sach bolata rah gaya,
Aandhiyon ke iraade to achche na the,
Ye diya kaise jalata hua rah gaya...