Kisi se koi khafa bhi nahi raha ab to,
Gila karo keh gila bhi nahi raha ab to,
Shikast-e-zaat ka iqraar aur kya hoga,
Ke aada-e-wafa bhi nahi raha ab to,
Chune hue hai labon par tere hazaar jawaab,
Shikayaton ka maza bhi nahi raha ab to,
Hu mubtilaa-e-yaqeen meri mushkilain mat poocho,
Gumaan uqdakash bhi nahi raha ab to,
Mere wajood ka aab kya sawaal hai,
Main apne haq mein bura nahi raha ab to,
Yehi atya-e-subah shab-e-wisaal hai kya,
Ke seher-e-naaz-o-ada bhi nahi raha ab toh,
Yaqeen kar jo teri aarzoo mein tha pehle,
Wo lutf tere siwa bhi nahi raha ab to,
Wo sukh waha ke khuda ki hai bakhshishain kya kya,
Yaha yeh dukh ke khuda bhi nahi raha ab to...