Pyaar karta hun par bataa nahi sakta
Haq rakhta hun par jataa nahi sakta...
Aaina bhi dekhun to nazar aati ho TuM
Khayalon se tumko hataa nahi sakta...
Mere khwabon ki taabeer, tumeh saraah nahi sakta
Mere dil ki jaageer, tumeh paa nahi sakta..
Khudah se badhkar hai kuch azeezon ki marzi
chaah kar bhi khilaaf main jaa nahi sakta....
Hadd se zyada hai tumse mohabbat, phir bhi
Tumhare iss dil mein, tumeh basaa nahi sakta !!