FRENZ 4 EVER

..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"... Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    ..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"...

    roshini
    roshini
    Frenz Hero
    Frenz Hero

    Member is :
    Online ..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"... Online
    Offline ..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"... Offline


    Female

    Aries Buffalo

    Posts : 5370
    Job/hobbies : fashion designing
    KARMA : 75
    Reward : 176

    Mood : embarrassed

    ..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"... Empty ..."Aye Duur Nagar Ke Banjare"...

    Post by roshini Tue Feb 17, 2009 12:24 pm

    Aye Duur Nagar Ke Banjare

    Aye duur nagar ke banjare kyun aaj safar ki thani hai


    Yeh barish, keechar, sard hawa aur rah kathun anjani hai




    Aa mehfil chup chup bethii hai aa mehfil ka jee shaad karain


    Woh log ke tere aashiq hain, ke roz say tujh ko yaad karain




    Woh thor thikanay dhoond chukay, woh manzil manzil chooh ayay


    Ab aas lagaye bethay hain, kab dustak ho, kab tuu aye




    Aye duur nagar k banjaray gar chor ke aisa jana tha


    Kyun chah ki rah dikhani thi, kyun pyar ka haath barhana tha




    Hai dunya ke hangamoun main rangeeni bhi ranaaii bhi


    Har cheez yahan ki pyari hai, mehroomi bhi, ruswaii bhi




    Sab log yahan par qismat ke be.torr thapairay sehtay hain


    Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain




    Aur tuu tau aik khilari tha, kyun khail hii say munh morr liya


    Kyun jaan ki baazi haar gaya, kyun umer ka rasta torr liya




    Go janay ke mushtaq yahan hum jaisay laakh becharay hon


    Woh log hii rukhsat hotay hain jo log ke sab ko pyaare hon




    Har saal ruttoun ki gardish say jab bees decambar aaye gee


    Yeh ashk chama chum barsain gay, yeh aah ghata ban jaye gee




    Tum arsh ke aik farishtay thay, bas farsh ki chokhat choom gaye


    Tum tees baras tak dunya main maasoom rahay maasoom gaye




    Ham yaad ki roshan shamaon say iss jee main ujala rakahin gay


    Aur seenay main aabadi ka saamaan nirala rakhain gay




    Tum ajnabi ajnabi rahon main jub thak jao tu ik kaam karo


    Iss dil main aan qayam karo, iss seenay main basraam karo




    Iss jug ki raat andhairee main ik taara tha woh doob gaya,


    Aur waaday saath nibhanay k sab bhool bhula kar khoob gaya




    Yeh Insha, Haroon, Zaid Bakr, sheeshon ka maseeha koi nahi


    Sub dost hamare achay hain par kaun hai uss ka, koi nahi




    Kyun naazuk naazuk seenon main gham ka torr pahar chalay


    Kyun jug ke khail tamashon ka tum rung aur ruup ujaar chalay




    Phir daikh zameen par keechar hai, phir daikh falak par paani hai


    Aay duur nagar k banjaare kyun aaj safar ki thaani hai...




    .

      Current date/time is Fri May 10, 2024 2:21 pm