Buhat muskhil se iss muhabbat ko chhupaya
Intezaar karte karte humne iss muhabbat ko rulaya
Milna hai tumse yeh kahte hain hum dilse
Kuch na chaahun main muhabbat mile hamen sirf tumse
Kaanch ki chudiyan pahna do apne haathon se ab to
Kalaiyaan taras rahin iss intazaar men kab se ab to
Japti hun tumhara naam na maangun kuchh tumhare siwa
Jee nahin paaungi men ab tere pyar ke bina
Aankhon men basa hai tumhara hi dilnasheen chahra
Khushi hogi agar banaado mujhe apne aangan ki mahima
labon pe aaya hai sharam ka taraana dekho zara sajna
Kis roz karoge mere man men basera batlao zara sajna
Har waqt dekhte hain aapki tasveer laga kar dilse
Bas "Daisy" ka tan man hua aapke naam dilse