Ek nafrat ho, wo pyara bhi to ho sakta hai
aaj wahi shakhs, hamara bhi to ho sakta hai
mai ye aisey hii nahii chaan raha hoo'n ab tak
khak mai koi sitara bhi to ho sakta hai
garr muqaddar ka ho saya merey sar par logo
phir ye toofan kinara bhi to ho sakta hai
ain mumkin hai k ye biinayee mujhe dhoka de
ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai
iss mohabbat mai harr ik shai ko luta daite hain
iss mohabbat mai khasara bhi to ho sakta hai
daikh tu uss ki nazar, sirf zaba'n ko matt daikh
bund aankhain ik ishara bhi to ho sakta hai