Dard-E-dil minnaton se soya hai,
Yeh wohi dard jisme,
Zindagi tadpti thi, har dil roya hai,
Main bhi iss dard ka pujari hu,
yeh naa milta to kab ke mar jate,
Iss ke ik ik hasin moti ko,
raat din palkon mein piroyaa hai,
Yeh wahi dard hai jise galib,
Jasb karte the apni gazalon mein,
Mir ne jabse issko apanaya,
Daaman-E-Zist bhigoya hai...